Thursday, 17 December 2015

Socha tha aaj nahi

Socha tha aaj nahi 
Nazm kahenge aap par
Naa apki masumiyat 
Utaar pataa hu 
Naa hi apki aks
Lafz mere fike se hai
Nazar apki gehri si
Garm saanse apki
Thandi si nazm meri
Mudkurahat se apki 
Subah chamakane lgti h
Khushbo se khilte ful sare 
Saje savare se aate ho samne mere 
Aur meri sadi si nazm
Fir socha ki ap ho 
To meri nazme h 
Mere lafz hai 
Ap ho to meri saanse
Meri dhadakane h
Aap ho to sabkuch h 
Aap nahi to kuch nahi
Kaha tha apne ki 
Muskrate ho meri nazmo se
Yahi wajah h ki
Ye nazm de rahaa hu
Muskura dena is par b 
Kuch nahi h isase badhkr 
Kuch b nahi .....

No comments:

Post a Comment